Tere khwahishon mein khawahish kiski hai, nahin jaanta
Tere saanson mein riwayat kiski hai , nahin jaanta
Tere chahton mein panah kiski hai, nahin jaanta
Tere haathon mein inayat kiski hai, nahin jaanta
Meri mohabbat mein numaish kyu nahin, nahin jaanta
Mere lafzon mein paimaish kyu nahin , nahin jaanta
Meri chahat hai dil se dil ke liye, tu nahin jaanta
Mere dil ko tere deedar ki farmaish kyu hai, nahin jaanta….