Shikayat….

8978653-md

Abb mein unn lamho ki baat nahin karta jo beet gaye zindgi se mere
Soo jaa naa sooch unn lamho ko jo beet gaye zindgi se tere
Khaffa zindgi kuch humse rahi, door zindgi humse kuch tumse rahi
Saath zindgi mere chalti hi kyun, Agar saath hi nahin tu mere rahi
Shiyakat karte hi kyun tumse agar, Agar zindgi mein tu hi nahin rahi

Waafien aapnata tu uski jaan ..agar wafa usne kabhi nebhayi hoti
Agar dil hi bewafa nikala uska phir kyun usse preet tune layagi hoti
Agar laut bhi aau,main laut bhi aau, toh kya chahat meri tune aapnayi hoti
Tune apne dil mein  kisi aur, kisi aur ki kya taasveer basayi hoti
Usool zindgi ke main badal deta , agar meri jaan tune meri chahat appnayi hoti

Kya usme rakha hai bata mujhe, agar main bewafa hoon bata mujhe
Kadmo mein tere jhoomta main chala gaya,khwaabon mein tere jeeta main chala gaya
Phir se jaan meri, yaad karke  muskurato  mein teri zindgi main jeeta chala gya
Kal yeh guma bhi nikal jayega , bta tu mujhe kaise main phir zindgi beetauga
Agar sirf saath chale tu mere khawab mein, mein zindgi tere liye jeeta chala jaunga
Par saath tera mujhe mile toh main janat bhi zaamen pe utar launga….

Kya ussme rakha hai jo tera chahne wala hai, bata tu mujhe kya woh tere dil ki duaa hai
Mana ki tera aur uska saath purana hai kya ussme rakha hai hai jo tere chahne waala hai
Bhoolta nahin main tujhe bata de, de muje, kya meri aarzoo hai bata de tu mujhe
Kya teri tamanna hai bata de mujhe, kya usme rakha hai jo hai chahton mein tere
Bata de mujhe, bta de mujhe kya koi galati hai khawaabon mein mere…. 😦

– Happy Chauhan

Haan…

image

Haan karte hai unhe yaad
Haan rakhte hai unki chah
Haan takte hai unki raahon ko
Haan karte hai unka intezaar

Haan bas ik haan ka hi sila hai
Haan bas ik haan ne ghum diya hai
Haan bas ik haan ke hi faasle hai
Haan bas ik haan ke hi hausale hai

Haan mohtaaz hai unki haan ke
Haan aarzoo hai unki Panah ki….

Happy Chauhan

Kadardaan….

Sad-Boy-emo-boys-23969673-621-944

Baithe hai gumsum se
Sar neeche jukaye huye
Jaane khayal kiska hai
Kya mere dil me hai

Kambaqht dil bhi bewafa hai
Yaad kisi aur ko karta hai
Laut aa, Hosh me aa jaa
Wahan koi tera kadardaan nahin

Mat dekh tu khawab koi
Mat rakh naye aas koi
Toote ga nadan tu phir se
Awaaz naa hogi  tootne ki teri

Unki maasomiat ko nikal hata
Unki berukhi ko apnaa
Samal ja naa jaa udhar
Abb wahan tera koi kadardaan nahin….

Sum Favs

favourite-words

<1>

Humne jo ki thi mohabbat, aaj bhi hai
Unki zulfo ke saaye ki chahat aaj bhi hai
Raat kat ti hai aaj bhi khayalo me unke
Deewano si woh meri halat aaj bhi hai
Kisi aur ke tasawwur ko uthati nai
Beimaan aankho me thodi si sharafat aaj bhi hai
Chah ke ek baar chahe fir chod dena tu
Dil tod unhe jaane ki ijaazat, aaj bhi hai…..

<2>

Woh aaj humse mile anjanon ki tarah,
hum yunhi raah take baithe the deewanon ki tarah,
har nigah mein aur duur chale jaate hain,
humse nazar churate hain beimanon ki tarah,
hum yunhi raah take baithe the deewanon ki tarah

<3>

Woh kehte hain KABHI AUR…
KABHI AUR hota nahi!!
Dil bhi to nadan unke siva KABHI AUR Khota nahi…
Hum Mangte hai ek saans,ek Dhadkan,ek Nigaah…
Wo KABHI AUR De jaate hai…
Parr yeh Kambakht KABHI AUR..KABHI AUR Hota Nahi.

Random Khayal….

mc-random-86

Yeh dilo ke mamle hai

Zara tabiyat se peesh aaya kijiye

App toh chale jaate aada dekha ke

Dil kaye bekhar jaate hai aapke jaane ke baad

Yeh jo dard aapne diya hai

Abb uski dawa bhi de dijiye

Arre apne iss mariz ka

Haal toh pooch lijiye….

yeh jo chahato ke sile hai
khud hi toh dil pe liye hai
abb dil yeh  zakmi hai
aur aankhon me narmi hai

Tere Baad Bhi…

482917_367681206649814_1565608620_n

Wahi sama, wahi kahani tere baad bhi
Wahi ghum, wahi tanhayi tere baad bhi

Tere saath thi jo jafa mohtarama
Abb ghum usi ka hai tere baad bhi

Wahi jam, wahi gazal tere baad bhi
Wahi kami, wahi khamoshi tere baad bhi

Mere paas hai jo khusi tere khatir
Abb bas wahi yaadien hai tere baad bhi

Wahi aarzoo, wahi tamana tere baad bhi
Wahi aas, wahi dilaasa tere baad bhi….

Tu shayad aab badal gaya ae-dost
Main wahi hoon abb teri qasam ,tere baad bhi ….

Naa Hum Pehle Se Rahe….

live-your-dreams-my-dream-is-23986887-1600-1200

Naa khwaish pehli si rahi
Naa farmaish pehli si rahi
Naa waqt pehla sa raha
Naa…. hum pehle se rahe

Naa sama humare sang raha
Naa sanam humare sang raha
Naa yaadien pehli si rahi
Naa…. hum pehle se rahe

Naa  koi dost hum sa raha
Naa hum kisi se rahe
Naa kabhi waqt thamta raha
Naa…. hum pehle se rahe

Naa mehfil pehli si rahi
Naa jaam pehle se rahe
Naa sharab me nasha raha
Naa…. hum pehle se rahe

Naa kadam peche rahe
Naa manzil aage rahi
Naa hum kabhi ruke rahe
Naa ….hum pehle se rahe….

Zara Mud Ke Toh Dekh….

Momentos de aburrimiento

Zara mud ke toh dekh

Khada hoon unhi rahoon mein
Abb toh rahoon mein bhi berukhi hai
Phir bhi abb yeh apni si lagti hai
Zara mud ke toh dekh
Ik musafir main hu tera
Aur abb teri chahat mein yeh,
Berukhi bhi apni si lagti hai
Zara mud ke toh dekh
Aa tham in haathon ko
Rahoon ko bhi abb dekha du
Kya meri chahat hai
Tu hi bas intzaar ke kaabil hai
Zaara mud ke toh dekh
Meri aankoh mein abb bhi
Tasveer teri hi basti hai
Dil mein tu hi ghar karti hai
Zara mudke toh dekh
Ehsaas tera hi ek baaki hai
Door bahut tu humse hai
Aarzo teri hi baaki hai
Zara mud ke toh dekh
Baatoh mein meri tu hi
Har baar mud ke aati hai
Abb isse kismat kahu
Yaa ibadat teri….jo har jagah tu hi nazar aati hai……

Subah….

230574_427824457252698_1995871264_n

Raat phir chali gayi
Phir nayi subah aa gayi
Waqt pal pal chalta raha
Main pag pag aage badta raha

Gairon se kya gila kare
Jab apne hi saath chodte gaye
Yeh toh jeetna humari aadat thi
Par haarna uss waqt ki himakat thi

Unki tamana mein haarna bhi sikha diya
Par uss haar mein jo saakoon mila
Woh jeet mein kahan se laate
Yeh toh unhe jitaana tha bas
issiliye hum har baazi haarte chale gaye

Abb mud ke naa dekna bikhar jaunga
Mein phir yaadon mein khoo jaunga
Badi shhidat se sameta hai khud ko
Aur toota toh aansuon ki baarisho mein
———-bheeg jaunga———-

Aaarzoo….

314255_503865549624949_417791689_n

Shikayat mere ghum ko mujhse hi rahi
Teri soorat mere alfaazo mein dhalti rahi

Kabhi maan karta tha bhula du tujhe
Dil ko mere mujh se hi bagawat rahi

Dil ka dushman hi mera mehboob raha
Uski Ada-e-Ulfat ki dil pe hakumat rahi

Mila toh zamane mein mujhe bahut kuch
Par aa dekh zara teri zarorat hi rahi

Chala gaya tu door rahoon se unn
Par tere kadmon ki aahat si rahi

Chehra jis din se dekha tera haseen
Uss din se kisi aur ko dekhne ki aarzoo na rahi….